Wednesday, May 27, 2009

Berozgari


Berozgari


Doobte hue aadmi ne

Pull par chalte hue aadmi ko

Aawaz lagayi "bachao bachao!"

Pull par chalte aadmi ne neeche

Rassi Phenki aur kaha "aaoo..."

Nadi mein doobta hua aadmi

Rassi nahi pakad pa raha tha

Rah rah kar chillaa raha tha

Mein marna nahi chahta

Zindagi badi mehengi hai

Kal hi to meri ek MNC mein naukri lagi hai..

Itna sunte hi pul par chalte

Aadmi ne apni rassi kheench li

Aur bhagte bhagte  MNC gaya

Usne wahan ki HR ko bataya ki

Abhi abhi ek aadmi doobkar mar gaya hai

Aur is tarah aapki company mein

Ek jagah khali kar gaya hai...

Mein berozgaar hoon muje le lo...

HR boli dost tumne der kar di,

Ab se kuch der Pehle humne us aadmi ko lagaya hai

Jo usse dhakka de kar tumse pehle yahan aaya hai !!!


Frustration


Bikhar Gaya Hai kuchh Is Tarh Aadmi Ka Wajood
بکھر گیا ہے کچھ اس طرح آدمی کا وجود
Har Ek Fard Koi Saaneha Lage Hai Mujhe
ہر ایک فرد کوئی سانحہ لگے ہے مجھے